Thursday, 1 December 2011

Bachpan ki chahat

Ek chand dekhti aa rahi hun bachpan se
Mann hai usko chunne ka
Magar kasam usne b le rakhi hai
Na paas tujhe aane dunga

Mann ne mann ko mana liya
Ki dekh abhi tu choti hai
Bacchi maan k tarka degi
Ye duniyadari khoti h

Bachpane ki jidd ko
Jawani tak me le aayi
Par badi ho gayi me to
Ye kahani samajh me tab aayi

Log aaj bhi kehte hain
Beta iss chand se ishq mat karna
Iss chand me bahut se daag hain
Sun le ri bacchi, tu mann ki mat par mat chalna

Maine bhi mere bachpan ke
Ussi pyar se daga kiya
Ye chand bahut hi daagi hai
Jhatpat se ye bhi maan liya

Par lagi sochne wapas main
Agar iss chand par itne daag hain
To iss duniya me koi kaunsa
Vishvashniye, paak, bedaag hai

Mann ko to samjhaya tha
Par baat samjh me naa aayi
Iss bhole se rishte ko
Kyun jawani tak main le aayi

Samjhne me kyun der lagi
Ki ye preet bahut hi sacchi h
Iss duniya k har dhokhe se
To ye preet badi hi acchi h

Iss preet ka daman tham kar
Main to aage badh chalo
Uss chand ka daman pane ko
Main us path par chal nikli

Gharwalo ko jab pata chala
Unke dil me ek shor hua
Bacchi abhi naadan hai
Unka rukhsat meri or aor hua

Iss samasya ka ek hal
Unko bhi ye de sujha
Fir pandit ko bula karke
Mere liye rishta bhi pucha

Lakar ke uss ladke ko
Samne mere kar diya khada
Le bitiya raani
Tu pench, prem ke isse lada

Maine bhi khilafat me fir
Morcha apna khol diya
Jo kuch maine dekha tha
Wo sab maine bol diya

Kal hi to iss ladke ko
Maine park me dekha tha
Ek ladki ki baahun me
Ye saanp sa banke letha tha

Kyun aap sab logo ko laga
Ye ladka bedaag hai
Iss se to mera chand bhala
Jis par bahut se daag hai

Iss chand-daag ki jung me
Main apni sudh-budh kho bethi
Gharwalon ko lagne laga
Bitiya jogan ban bethi

Uss chand ko meri preet ki
Gehrai ka pata chala
Usne bhi foran
Ek farishta jamin par bheja

Uss farishte ko jamin par dekha to
Chand usme najar aane laga
Mere bacpan ka sapna
Maano sakaar hone laga

Jab maine usko chua
Maano mujhko wo mila
Jiske liye tha ab tak
Ye saara silsila chala

Ab nhi mann me iccha hai
Uss chand ko chune ki
Kyunki ek chand ne bhar di hai
Meri bhi duniya suuni si…

1 comment: